Abul-haul
jahan-e-reg ke KHwab-e-giran se aaj to jag
hazaron qafile aate rahe guzarte rahe
koi jaga na saka tujh ko tujh se kaun kahe
wo zist maut hai jis mein koi lagan ho na lag
taDap uThe tere honTon pe kash ab koi rag
jo tere dida-e-sangin se dard ban ke bahe
ye teri tira-shabi bijliyon ke naz sahe
yunhi sulagti rahe tere dil mein zist ki aag
magar nahin, tu agar mera raaz-dan hota
tere labon pe dahak uThti koi pyar ki baat
to aaj dahr ke sine pe tu kahan hota
tere sukun ko kabhi chhu saka na waqt ka hat
KHud apni aag hi mein jal-bujhi hai meri hayat
wagarna teri tarah main bhi jawedan hota
(1240) Peoples Rate This