Aansu
suno, suno, aansuon ki aawaz ruh ko apne dukhte
hathon se chhu rahi hai
KHizan-zada KHushk patiyan hain
jo sath-e-ab-e-rawan pe ruk ruk ke gir rahi hain
wo sath-e-ab aaina hai jis mein
guzishta lamhon ke malgaje naqsh ubhar rahe hain
in aaina-rang aansuon mein
har aarzu har KHayal har yaad ek taswir-e-be-kasi hai
shafaq ke bujhte alao mein rakh ki tahen rakh mein sharare
ye kis ke aansu hain kaun chup-chap ro raha hai
udas shab ki siyah aankhon mein DabDabaate hue
sitaron se main ne puchha
magar tajjub-zada mujhe dekhte rahe wo
hawaon ki siskiyon se puchha
wo apna daman sameT kar mere pas se kapkapa ke chal din
magar ye aansu lahakte lamhon ke aaine hain
in aansuon mein
har aarzu har KHayal har yaad phir se aabaad ho gai hai
damakte aansu ye qumqume jin se shab ki tarikiyan ujale
in aaina-rang aansuon se nazar milao
mujhe na dekho
ki meri aankhon mein to koi aaina nahin hai
suno suno aansuon ki aawaz sare aalam pe chha rahi hai
magar main kab se taras raha hun
ki meri pathrai KHushk aankhon se bhi kuchh aansu
ubharti lahron ki tarah ubhren
aur un ki hiddat mein Dhal ke bah jae mere sine
ka dard-e-sangin
(1167) Peoples Rate This