Tumhaari Chahat Ki Chandni Se Har Ek Shab-e-gham Sanwar Gai Hai
tumhaari chahat ki chandni se har ek shab-e-gham sanwar gai hai
sunahri poron se KHwab-reze sameTti har sahar gai hai
mahakte jhonke ke harf-e-taskin mein jaani pahchani larzishen thin
tumhaari sanson ki aanch kitni qarib aa kar guzar gai hai
ab is ka chaara hi kya ki apni talab hi la-intiha thi warna
wo aankh jab bhi uThi hai daman-e-dard phulon se bhar gai hai
na tha na hoga kabhi mayassar sukun jo tere qurb mein hai
ye waqt ki jhil jis mein har lahr jaise thak kar Thahar gai hai
ye barf-zar-e-KHayal jis mein na saut-e-gul hai na aks-e-naghma
teri tawajjoh se aatish-e-shauq isi ko gulzar kar gai hai
ye kaun diwane reg-e-sahra ko mauja-e-KHun se sinchte hain
koi kaho is junun ki us nau-bahaar tak bhi KHabar gai hai
'ziya' dilon mein ghubar kya kya the roe ji bhar ke jab mile wo
wo abr barsa hai ab ke sawan ki patti patti nikhar gai hai
(1549) Peoples Rate This