Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db62984b042bc7f2edf24a2ca6754e90, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun

teri nigah se ise bhi guman hua ki main hun

wagarna dil to mera manta na tha ki main hun

ajib lamha wo didar-e-husn-e-yar ka tha

us ek pal ki tajalli mein ye khula ki main hun

na jaane be-KHabari ke wo kis maqam pe tha

nazar uThata to har gul pukarta ki main hun

tere jamal ki kuchh raushni si paDti hai

bata raha hai mujhe rang-e-aina ki main hun

jise bhula ke ye dil mutmain tha muddat se

kal us ke zikr pe ek ahd bol uTha ki main hun

par-e-zamana to parwaz-e-nur se bhi hai tez

kahan hai kaun tha jis ne abhi kaha ki main hun

kahan pe sarhad-e-na-bud-o-bud milti hai

subut ho ki na ho e'tibar kya ki main hun

hayat KHud hai dahan-e-nahang-e-la-yani

jo hai adam ka musafir hai main chala ki main hun

na raftagan hain na ab yaad-e-raftagan baqi

main kya hun juz ram-e-yak-mauja-e-fana ki main hun

mujh aise zarron ka hona na hona ek sa hai

bagule in se uThe to pata chala ki main hun

khula paDa hai sar-e-rah be-his-o-harakat

jo hath kal tak uTha chiKHta raha ki main hun

abhi tariq-e-tahammul nahin mizajon mein

abhi faqihon mein hangama hai bapa ki main hun

kahin kahin abhi tauqir-e-lafz baqi hai

suKHan sunai diya harf-e-dard ka ki main hun

ajib aalam-e-hu tha 'ziya' jab aaKHir-e-shab

kisi ko dil ne ye kahte hue suna ki main hun

(1377) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Teri Nigah Se Ise Bhi Guman Hua Ki Main Hun in PDF.