Sham-e-haq Shoabada-e-harf Dikha Kar Le Jae
sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae
kahin tujh ko hi na tujh se koi aa kar le jae
pahne phirte hain jo pairahan-e-suqraat-o-masih
un ka bahrup na dil tera lubha kar le jae
tu chaDhawa to nahin hai ki koi sehar-maqal
su-e-maqtal tujhe lafzon mein saja kar le jae
tu koi sukha hua patta nahin hai ki jise
jis taraf mauj-e-hawa chahe uDa kar le jae
teri aqdar par-e-kah nahin hain ki junhi
koi lahar uTThe unhen sath baha kar le jae
log to tak mein hain aisa na ho koi tujhe
KHud tere KHauf ki zanjir pinha kar le jae
ja-ba-ja shola-bayan charb-zaban tak mein hain
koi tujh ko bhi na baaton mein laga kar le jae
lafz tiron ki tarah waz sinan ke manind
dil-e-wahshi ko kahan koi bacha kar le jae
(1191) Peoples Rate This