Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ced3e8f0ead7659f44569c99a51569e2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain

shajar jalte hain shaKHen jal rahi hain

hawaen hain ki paiham chal rahi hain

talab radd-e-talab donon qayamat

ye aankhen umr-bhar jal-thal rahi hain

chamakta chand-chehra samne tha

umangen bahr thin bekal rahi hain

dabe-panw meri tanhaiyon mein

hawaen KHwab ban kar chal rahi hain

sahar-dam sohbat-e-rafta ki yaaden

mere pahlu mein aankhen mal rahi hain

teri yaad aur be-KHwabi ki raaten

ye palken aankh par bojhal rahi hain

bahut pechida hain chahat ke andaz

ki ab dil-dariyan bhi khal rahi hain

taraazu hain KHirad-mandon ke dil mein

wahi baaten jo be-aTkal rahi hain

'ziya' un saaton mein umr guzri

khuli aankhon se jo ojhal rahi hain

(1236) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Shajar Jalte Hain ShaKHen Jal Rahi Hain in PDF.