Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4c9808d8e4fea65bc918f81bad5c717e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae

rang baaten karen aur baaton se KHushbu aae

dard phulon ki tarah mahke agar tu aae

bhig jati hain is ummid pe aankhen har sham

shayad is raat wo mahtab lab-e-ju aae

hum teri yaad se katra ke guzar jate magar

rah mein phulon ke lab sayon ke gesu aae

wahi lab-tishnagi apni wahi targhib-e-sarab

dasht-e-malum ki hum aaKHiri had chhu aae

maslahat-koshi-e-ahbab se dam ghuTta hai

kisi jaanib se koi nara-e-yahu aae

sine viran hue anjuman aabaad rahi

kitne gul-chehra gae kitne pari-ru aae

aazmaish ki ghaDi se guzar aae to 'ziya'

jashn-e-gham jari hua aankhon mein aansu aae

(1857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Rang Baaten Karen Aur Baaton Se KHushbu Aae in PDF.