Munjamid HonTon Pe Hai YaKH Ki Tarah Harf-e-junun
munjamid honTon pe hai yaKH ki tarah harf-e-junun
sar kisi seal-zada shaKH ke manind nigun
kahan surma-nafas alfaz kahan soz-e-darun
lala-e-dasht-e-zamistan hai main jo baat kahun
main kahan pahuncha ki har but jise puja ab tak
hai shikasta sar-e-KHak aur main shikasta to hun
rahm kar KHwab-e-tamanna pe nigah-e-nigaran
TuT kar chaaron taraf bikhre paDe hain afsun
KHisht-kobi mein kise fursat-e-KHwab-e-KHuban
zinda rahne ke taqazon ne kiya zist ka KHun
kitne aqdar ke aiwan zamin-bos hue
aagahi rakh ka ek Dher hui jati hai kyun
kitne arman zamistan-zada shaKHon ki tarah
hath phailae hue takte hain su-e-gardun
shab ajab-soKHta-saman musafir aae
jism aaghushta-ba-KHun chehre malul-o-mahzun
bole ai ajnabi ai sada tamanna hamein dekh
hum bhi rakhte the kabhi aarzuen guna-gun
aur phir hum pe khula waqt ki raftar ka raaz
ab koi rang koi rup nahin wajh-e-sukun
bujh gain aarzuen sham ke baadal ki tarah
gulshan-o-shahr hue barf ki tah mein madfun
ja-ba-ja hausle taraj hue dil TuTe
pai-ba-pai hum ne sahe sard hawa ke shab-KHun
zindagi mahz shikaston ka ek ambar-e-giran
ab in aankhon mein nahin koi tilism-e-fayakun
hum to ai ajnabi mehman hain koi dam ke
dam-ba-dam mauj-e-fana kahti hai main hun main hun
subh-dam soKHta-saman musafir bhi gae
phir wahi hum wahi tanhai wahi haal-e-zabun
(1419) Peoples Rate This