Kuchh Aur Pila Nashat Ki Mai
kuchh aur pila nashat ki mai
ye lazzat-e-jism hai ajab shai
ab bhi wahi git hai wahi lai
hum wo nahin anjuman wahi hai
taKHayyul mein har talab hai tahsil
jo baat kahin nahin yahan hai
karte tera intizar abad tak
lekin tera e'tibar ta-kai
mujh ko to na ras aai duri
tujh mein bhi wo baat ab nahin hai
diwangiyan kabhi miTi hain
har-chand raha zamana darpai
samjhaen 'ziya' magar unhen kya
dil hi se na baat ho saki tai
(1114) Peoples Rate This