Kitni Der Aur Hai Ye Bazm-e-tarab-nak Na Kah
kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah
ras aati hai kise gardish-e-aflak na kah
kyun Thaharta nahin gulzar mein koi mausam
kya kashish rakhti hai KHushbu-e-tah-e-KHak na kah
dekh to rang tamannaon ki betabi ke
kal fana hai magar ai sahab-e-idrak na kah
dard ki aanch abad tak hai kisi rup mein ho
aaj ke phul ko aainda ke KHashak na kah
lafz ki zarb to hai saiqa-o-sang se saKHt
dil bahut narm hain na-gufta-o-be-bak na kah
gham-gusaron ko bhi hai apne hi aalam se kaam
dil pe jo biti hai ai dida-e-namnak na kah
shauq hi zist bhi hai zist ki aagahi bhi
is masiha-nafas-azar ko saffak na kah
dil-e-farhad junun-fahm ko nadan na samajh
chashm-e-parwez-e-tunuk-hosh ko chaalak na kah
KHud-numai thi ki tha mahbas-e-pindar ka KHauf
qais ke jaib-o-gareban rahe kyun chaak na kah
bujh na jaen kahin dil ahl-e-tamanna ke 'ziya'
kaise shoalon se hai ye jashn-e-tarab-nak na kah
(1175) Peoples Rate This