KHun Ke Dariya Bah Jate Hain KHair Aur KHair Ke Bich
KHun ke dariya bah jate hain KHair aur KHair ke bich
apne-ap mein sab sachche hain masjid o dair ke bich
lag ho ya ki lagan ho donon ek diye ki lawen
ek hi raushni lahraati hai pyar aur bair ke bich
dil mein dhup khile to andhere chhaT jate hain aap
ab hum farq rawa nahin rakhte yar aur ghair ke bich
soch-samajh sab sach hai lekin dil ki baat hai aur
dur thi yun to aankh bhanwar ki pahuncha tair ke bich
jate ho pa qadam uThne se pahle dhyan rahe
umr ka fasla ho sakta hai pair aur pair ke bich
dekhti aankh 'ziya' hairan hai dekh ke dahr ke rang
pal ki pal mein badal jate hain manzar sair ke bich
(1213) Peoples Rate This