KHud Ko Samjha Hai Faqat Wahm-o-guman Bhi Humne
KHud ko samjha hai faqat wahm-o-guman bhi hum ne
KHud ko paya hai dil-e-kaun-o-makan bhi hum ne
dekh phulon se lade dhup nahae hue peD
hans ke kahte hain guzari hai KHizan bhi hum ne
shafaq-e-subh se tabinda saman-zar se puchh
raat kaTi su-e-gardun-nigran bhi hum ne
dekh kar abr bhar aai hain KHushi se aankhen
sukhte honTon pe pheri hai zaban bhi hum ne
jin ke giton mein hai nikhat ki lapak phul ka ras
salha-sal suni un ki fughan bhi hum ne
ab umangen hain tarangen hain tarannum-afshan
KHwahishen dekhin hain mahrum-e-zaban bhi hum ne
ab nazar aae hain aasuda-e-manzil to kya
dekhi kya kya tapish-e-reg-e-rawan bhi hum ne
(1316) Peoples Rate This