Kahan Ka Sabr Sau Sau Bar Diwanon Ke Dil TuTe
kahan ka sabr sau sau bar diwanon ke dil TuTe
shikast-e-dil ke KHadshe hi se na-danon ke dil TuTe
gire hain TuT kar kuchh aaine shaKHon ki palkon se
ye kis ki aah thi kyun shabnamistanon ke dil TuTe
is aaraish se to kuchh aur ubhri un ki virani
babulon par bahaar aai to viranon ke dil TuTe
wo mahrumi ka josh-e-KHwab-parwar ab kahan baqi
bar aain itni ummiden ki armanon ke dil TuTe
unhen apne gudaz-e-dil se andaza tha auron ka
jab insanon ke dil dekhe to insanon ke dil TuTe
qafas se husn-e-gul ke qadr-dan ab tak nahin palTe
shagufon ke tabassum se gulistanon ke dil TuTe
'ziya' apni tabahi par unhen bhi naz the kya kya
hamein dekha to sahraon bayabanon ke dil TuTe
(1130) Peoples Rate This