Jab Unhi Ko Na Suna Pae Gham-e-jaan Apna
jab unhi ko na suna pae gham-e-jaan apna
chup lagi aisi ki KHud ho gae zindan apna
na-rasai ka bayaban hai ki irfan apna
is jagah ahrman apna hai na yazdan apna
dam ki mohlat mein hai tasKHir-e-mah-o-mehr ki dhun
sans ek silsila-e-KHwab-e-darKHshan apna
talab us ki hai ki jo sarhad-e-imkan mein nahin
meri har rah mein hail hai bayaban apna
kaisi duri usi shole ki hai zau mera jamal
jis se tabinda raha dida-e-giryan apna
armughan hain teri chahat ke shagufta lamhe
be-KHudi apni shab apni mah-e-taban apna
is tarah aks paDa tere shafaq honTon ka
subh-e-gulzar hua sina-e-viran apna
aisi ghaDiyan kai mujh aison pe aai hongi
waqt ne jin se saja rakkha hai aiwan apna
(1219) Peoples Rate This