Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_520fbebcb0a14001ac2ecc4a28b3cb28, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin

guman tha ya teri KHushbu yaqin ab bhi nahin

nahin hawa pe bharosa to kuchh ajab bhi nahin

khilen to kaise khilen phul ujaD sahra mein

sahab-e-KHwab nahin girya-e-talab bhi nahin

hansi mein chhup na saki aansuon se dhul na saki

ajab udasi hai jis ka koi sabab bhi nahin

Thahar gaya hai mere dil mein ek zamane se

wo waqt jis ki sahar bhi nahin hai shab bhi nahin

tamam umr tere iltifat ko tarsa

wo shaKHs jo hadaf-e-nawak-e-ghazab bhi nahin

gila karo to wo kahte hain yun raho jaise

tumhaare chehron pe aankhen nahin hain lab bhi nahin

mufahamat na kar arzan na ho bharam na ganwa

har ek nafas ho agar ek salib tab bhi nahin

bura na man 'ziya' us ki saf-goi ka

jo dard-mand bhi hai aur be-adab bhi nahin

(1324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Guman Tha Ya Teri KHushbu Yaqin Ab Bhi Nahin in PDF.