Ek KHwab Tha Aankhon Mein Jo Ab Ashk-e-sahar Hai
ek KHwab tha aankhon mein jo ab ashk-e-sahar hai
ek tair-e-wahshi tha so wo KHun mein tar hai
wo dur nahin hai ye rasai nahin hoti
har lamha koi taza KHam-e-rahguzar hai
dil aaj kuchh is tarah dhaDakta hai ki jaise
ab shauq-e-mulaqat pe hawi koi Dar hai
kuchh hausla-e-zabt hai kuchh waza hai apni
shoala na bana lab pe jo sine mein sharar hai
sunte to rahe sab ki ye hasrat rahi dil mein
hum par bhi khule zist ka mafhum agar hai
taraj bahaaran hai ki ek jashn-e-junun hai
raqsan hain bagule ki hawa KHak-basar hai
aashufta kiya itna 'ziya' dar-ba-dari ne
bawar nahin aata ki hamara koi ghar hai
(1144) Peoples Rate This