Dekhen Aaine Ke Manind Sahen Gham Ki Tarah
dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah
hum ki hain bazm-e-gul-o-lala mein shabnam ki tarah
waqt be-mehr hai is fursat-e-kamyab mein tum
meri aankhon mein raho KHwab-e-mujassam ki tarah
arsa-e-umr mein kya kya na ruten aain magar
koi Thahri na yahan dard ke mausam ki tarah
kis tarah us se kahun zaKHm bhi hain us ki ata
hath jis ka mere sine pe hai marham ki tarah
main ne chaha tha ki ek jast mein pahunchun lekin
rah mein sang the albatta o taham ki tarah
tera ehsan hai ki shadab raha kunj-e-KHayal
dil-e-pur-KHun ki tarah dida-e-pur-nam ki tarah
us ki guftar ne chhoDa na kahin ka hum ko
zaiqa shahd sa tha aur asar sam ki tarah
log taslim se taKHrib tak aa pahunche hain
Dalne nikle hain ek aur hi aalam ki tarah
sai-e-izhaar 'ziya' kanch ke TuTe hue lafz
aarzuen hain kisi mahfil-e-barham ki tarah
(1234) Peoples Rate This