Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e2fb606f5ba5d1847e0118cdca2ec2e9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
De Gaya Dard-e-be-talab Koi - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

De Gaya Dard-e-be-talab Koi

de gaya dard-e-be-talab koi

mera hamdard tha ajab koi

kaun nikla hai apni uljhan se

aur ko pa saka hai kab koi

ye ujala ye din kahan hun main

mujh se kuchh kah raha tha shab koi

ab jo ruThe to jaan pe banti hai

KHush hua mujh se be-sabab koi

meri manzil mujhe nahin malum

subh koi hai aur shab koi

maut aur aarzu ki maut 'ziya'

han bahut mutmain hai ab koi

(1429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

De Gaya Dard-e-be-talab Koi In English By Famous Poet Zia Jalandhari. De Gaya Dard-e-be-talab Koi is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem De Gaya Dard-e-be-talab Koi for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download De Gaya Dard-e-be-talab Koi in PDF.