Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_55c71c1030bfc648267dd7f108946b76, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba - Zia Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba

apne ahwal pe hum aap the hairan baba

aankh dariya thi magar dil tha bayaban baba

ye wo aansu hain jo andar ki taraf girte hain

hon bhi to hum nazar aate nahin giryan baba

is qadar sadma hai kyun ek dil-e-viran par

shahr ke shahr yahan ho gae viran baba

ye shab o roz ke hangamon se sahme hue log

rahte hain mauj-e-saba se bhi hirasan baba

unchi diwaron se bahar nikal aae to khula

hum ne sinon mein bana rakkhe hain zindan baba

KHush-guman ho ke na baiTh in dar-o-diwar se puchh

ahl-e-KHana bhi hain kuchh roz ke mehman baba

yaKH hawaon se mujhe aati hai KHush-bu-e-bahaar

shola-e-gul ki amin hai ye zamistan baba

gard-baad aaen ki girdab, bayaban ho ki bahr

zindagi hoti hai aap-apni nigahban baba

gai rut lauT bhi aati hai 'ziya' hausla rakh

hum ne dekhi hain siyah shaKHon pe kaliyan baba

(1267) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba In English By Famous Poet Zia Jalandhari. Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba is written by Zia Jalandhari. Read famous Poem Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba for youth and Student by Zia Jalandhari. Free Download Apne Ahwal Pe Hum Aap The Hairan Baba in PDF.