Ab Ye Aankhen Kisi Taskin Se Tabinda Nahin
ab ye aankhen kisi taskin se tabinda nahin
main ne rafta se ye jaana hai ki aainda nahin
tere dil mein koi gham mera numainda nahin
aagahi teri mizha par abhi raKHshanda nahin
dil-e-viran dam-e-isa hai gae waqt ki yaad
kaun sa lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahin
tu bhi chahe to na aaegi wo biti hui raat
hai wahi chand magar waisa daraKHshinda nahin
abr-e-awara se mujh ko hai wafa ki ummid
barq-e-betab se shikwa hai ki painda nahin
kabhi ghunche ko mahakne se koi rok saka
shauq agar hai to phir izhaar se sharminda nahin
(1713) Peoples Rate This