Aankhon Mein Nihan Hai Jo Munajat Wo Tum Ho
aankhon mein nihan hai jo munajat wo tum ho
jis samt safar mein hai meri zat wo tum ho
jo samne hota hai koi aur hai shayad
jo dil mein hai ek KHwab-e-mulaqat wo tum ho
din aae gae jaise sarae mein musafir
Thahri rahi aankhon mein jo ek raat wo tum ho
har baat mein shamil hain tasawwur ke kai rang
har rang-e-tasawwur mein hai jo baat wo tum ho
jab dhul hue rah-e-safar mein to ye jaana
manzil-gah-e-jaan hain jo maqamat wo tum ho
dukh had se jo guzra to khula dil pe ki yun bhi
dar-parda hai jo mahw-e-mudaraat wo tum ho
dil-jui ka andaz bhi narmi bhi wahi hai
sine pe hawa rakhti hai jo hat wo tum ho
baqi to andhere hi muhit-e-dil-o-jaan hain
mahr-o-mah-o-anjum hain jo lamhat wo tum ho
han mujh pe sitam bhi hain bahut waqt ke lekin
kuchh waqt ki hain mujh pe inayat wo tum ho
(1613) Peoples Rate This