Yun Hasraton Ki Gard Mein Tha Dil ATa Hua
yun hasraton ki gard mein tha dil aTa hua
jaise daraKHt se koi patta gira hua
ho hi gaya hai nabz-shanas-e-gham-e-jahan
sine mein ishq ke mera dil kanpta hua
milta suragh-e-KHak mujhe mere sae ka
har samt zulmaton ka tha jangal uga hua
kal raat KHwab mein jo muqabil tha aaina
mera hi qad mujhe nazar aaya baDha hua
jaane bhi do wo chand nahin hoga koi aur
pamal aadmi jo hua chand kya hua
bahar ke shor-o-ghul hi se shayad wo bol uThe
baiTha hai kab se chup koi andar chhupa hua
panchhi uDa to KHatm bhi ho jaega 'ziya'
sanson ke aane-jaane ka tanta bandha hua
(1314) Peoples Rate This