Rag-e-ehsas Mein Nashtar TuTa
rag-e-ehsas mein nashtar TuTa
hath se chhuT ke saghar TuTa
TuTna tha dil-e-nazuk ko na puchh
kab kahan kis liye kyun-kar TuTa
sina dharti ka laraz uTTha hai
aasman se koi aKHtar TuTa
jhuk gaya pa-e-butan par lekin
pattharon se na mera sar TuTa
saKHt-jaani meri tauba tauba
qatl karte the ki KHanjar TuTa
ashk palkon se gira yun jaise
KHushk Tahni se gul-e-tar TuTa
ai 'ziya' ho ke riha zindan se
uDne paya bhi na tha par TuTa
(1099) Peoples Rate This