Mere Junun Mein Meri Wafa Mein KHulus Ki Jab Kami Milegi
mere junun mein meri wafa mein KHulus ki jab kami milegi
chaman giraft-e-KHizan mein hoga bahaar ujDi hui milegi
jawan hai himmat hai azm-e-mohkam nazar uThaen to ahl-e-danish
alam ke tarik ufuq pe raushan shua-e-ummid bhi milegi
tasawwur us mah-ru ka hoga kabhi to dil mein ziya-ba-daman
kabhi to zulmat-kade mein hum ko khuli hui chandni milegi
mera pata puchh kar na toDo sukut mera jumud mera
buland mahlon mein rahne walo kahan meri jhonpaDi milegi
ye kor-chashmi ka hai tamasha ki zulmaton ki tahen jami hain
nazar se parda haTa ke dekhen yahan wahan raushni milegi
riwayati paikar-e-ghazal mein bhara hai rang-e-jadid main ne
'ziya' mere sher mein muhayya koi nai baat hi milegi
(1257) Peoples Rate This