Lo Aaj Samundar Ke Kinare Pe KhaDa Hun
lo aaj samundar ke kinare pe khaDa hun
gharqab safinon ke sisakne ki sada hun
ek KHak-ba-sar barg hun Tahni se juda hun
joDega mujhe kaun ki main TuT gaya hun
ab bhi mujhe apnae na duniya to karun kya
mahaul se paiman-e-wafa bandh raha hun
mustaqbil-e-but-KHana ka hafiz hai KHuda hi
har but ko ye dawa hai ki ab main hi KHuda hun
afkar-e-do-alam na jhinjhoDen mujhe is waqt
apne hi KHayalat ki daldal mein phansa hun
manzil ka to irfan nahin itni KHabar hai
jis samt se aaya tha usi samt chala hun
muddat hui guzra tha idhar se mera saya
kab se yunhi footpath pe KHamosh paDa hun
hun aap ka bas mujh ko hai itna hi ghanimat
is se koi matlab nahin achchha ki bura hun
pahnao mere panw mein zanjir-e-bu-e-gul
aawara chaman mein sifat-e-baad-e-saba hun
chheDo na mujhe jaan-e-'ziya' fasl-e-junun mein
kya main bhi koi naghma-e-andoh-ruba hun
(1775) Peoples Rate This