Go Aaj Andhera Hai Kal Hoga Charaghan Bhi
go aaj andhera hai kal hoga charaghan bhi
taKHrib mein shamil hai tamir ka saman bhi
mazhar tere jalwon ke maman meri wahshat ke
kohsar-o-gulistan bhi sahra-o-bayaban bhi
dam toDti maujen kya sahil ka pata dengi
Thahri hui kashti hai KHamosh hai tufan bhi
majbur-e-gham-e-duniya dil se to koi puchhe
ehsas ki rag mein hai KHar-e-gham-e-jaanan bhi
bughz-o-hasad-o-nafrat nakaami-o-mahrumi
insanon ki basti mein kya hai koi insan bhi
diwana-e-ulfat ko dar se tere milta hai
har zaKHm ka marham bhi har dard ka darman bhi
leti hai jab angDai bedar kiran koi
hota hai 'ziya' KHud hi raqsan bhi ghazal-KHwan bhi
(1400) Peoples Rate This