Meri Aankhon Mein Jo ThoDi Si Nami Rah Gai Hai
meri aankhon mein jo thoDi si nami rah gai hai
bas yahi ishq ki saughat bachi rah gai hai
waqt ke sath hi gul ho gae wahshat ke charag
ek siyahi hai jo taqon pe abhi rah gai hai
aur kuchh der Thahar ai meri binai ki main
dekh lun ruh mein jo baKHiya-gari rah gai hai
aaino tum hi kaho kya hai mere honTon par
log kahte hain ki phiki si hansi rah gai hai
bojh suraj ka to main kab ka utar aaya magar
dhup jo sar pe dhari thi so dhari rah gai hai
kuchh bata ai mare nisyan ye kya majra hai
baat jo bhulne wali thi wahi rah gai hai
yun to is ghar ke dar-o-baam sabhi TuT gae
han magar bich ki diwar abhi rah gai hai
sochta hun ki tasawwur ko sameTun kaise
bistar-e-KHwab pe bhi aankh khuli rah gai hai
jaane kya baat hai mausam mein 'ziya' ab ke baras
dhup ke hote hue barf jami rah gai hai
(1247) Peoples Rate This