Main Jab Bhi Tere Shahr-e-KHush-asar Se Nikla
main jab bhi tere shahr-e-KHush-asar se nikla
ek qabr ka TukDa bhi falak-zar se nikla
har war mein muzmar teri hikmat hai sipahi
har jit ka muzhda teri talwar se nikla
phir apni hi haibat mein giraftar hua main
phir koi darinda mere pindar se nikla
ye kis ne safine ko nikala hai bhanwar se
ye kaun shanawar hai jo manjdhaar se nikla
kuchh bhi na mila mere KHaridar ko mujh mein
is ka bhi pata chashm-e-KHaridar se nikla
ye kaun hai jo ban ke kiran nach raha hai
ye kaun hai jo rauzan-e-diwar se nikla
us samt nazar aae ghazalan-e-qaba-posh
is samt 'ziya' aql ke aazar se nikla
(1078) Peoples Rate This