Ye Khaal-o-KHad Mere Apne
har ek jism mera hai, har ek jaan meri
ye KHal-o-KHad mere apne, ye aan-ban meri
sitam to ye hai ki mazlum main hun zalim main
har ek zaKHm mujhi se hisab mangega
har ek dagh meri aastin se jhankega
hazar-ha meri peshaniyon ke chand bujhe
hazar-ha mere lab ham-kanar-e-zahr hue
hazar-ha mere jismon ki Daliyan TuTin
hazar-ha meri aankhon ki mishalen Dubin
jahan pe aag lagi hai, wahan khilaune the
jahan pe KHak uDi hai, wahan pe jhule the
jahan pe sard hain sine wahan pe chaukhaT thi
jahan pe band hain aankhen wahan dariche the
main is dhuen mein kahan apni lash ko DhunDun
main is hujum mein kaise shumar-e-zaKHm karun
sitam to ye hai ki mazlum main hun, zalim main
har ek zaKHm mujhi se hisab mangega!
har ek dagh meri aastin se jhankega
(1194) Peoples Rate This