Sham Ka Pahla Tara (2)
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
wo mera ham-dam-e-derina tha
main bahut chhoTi thi jab man ne bataya tha mujhe
dekho dekho wo udhar wo meri ungli ke qarib
ek tara bhi tumhein dekhta hai
un dinon jab main hawaon ki tarah uDti thi
aur Dali ki tarah jhum ke lahraati thi
raat aur din ke lipaTne ki ghaDi aate hi
sirf us tare ki KHatir main Thahar jati thi
wo mujhe dekhta tha
main bhi use dekhti thi
wo mujhe DhunDhta tha
main bhi use DhunDhti thi
aur us id-e-mulaqat ke baad
roz hum donon bichhaD jate the
apni manzil ki taraf wo bhi chala jata tha
apne raston ki taraf mein bhi palaT aati thi
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye
aaj dekha nahin tara main ne
aaj ki sham jo roz aata hai shayad nahin aae
rasta bhul na jae
aaj to jald nikal aaya hai tara mera
aaj ki raat mulaqat milegi mujh ko
an-kahe lafzon ki saughat milegi mujh ko
main ne tare ki rifaqat mein shagun kitne liye
ab main tanha hun
baras bit gae hain kitne
koi tara nahin dekha main ne
dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai
meri KHwabida samaat ko jagane ke liye
sirf aawaz-e-azan aati hai
ab shagun kahe se lun
kis ke aane ki umiden bandhun
kis ke jaane se pareshan rahun
kal magar phone ki ghanTi ne mujhe
apne mahaul se bedar kiya
zindagi se mujhe do-chaar kiya
ek amrit bhara lahja mere kanon mein ghula
amman kal sham dikhaya hum ne
apne bachchon ko chamakta tara
kaun sa tara dikhaya tum ne
aap ka sham ka pahla tara
phone jab KHatm hua
waqt dinon hi gale milte the
main ne khiDki se haTaya parda
aasman hadd-e-nazar tak waraq-e-sada tha
na shafaq thi na ufuq par hi koi tara tha
yak-ba-yak ek kiran chehre par lahrane lagi
dur ki chiz zara dhundli nazar aati hai
mera tara meri palkon par utar aaya tha
main ne ungli ke sahaare se use tham liya
apne aanchal mein use bandh liya
bhala is umr mein ye sath kise milta hai
meri us sham ke tare se mulaqat bahut gahri thi
mera hamdam-e-derina tha
(1437) Peoples Rate This