Qissa Gul-baadshah Ka
nam mera hai gul-baadshah
umr meri hai terah baras
aur kahani
meri umar ki tarah se muntashir muntashir
muKHtasar muKHtasar
meri be-nam be-chehra man
be-dawa mar gai
bap ne us ko burqe mein dafna diya
us ko Dar tha ki munkir-nakir
meri amman ka chehra na dekhen
waise zinda thi, jab bhi wo madfun thi
bap ka nam zar-taj-gul
umar battis baras
wo mujahid shahadat ka talib rah-e-haq ka musafir hua
aur jam-e-shahadat bhi us ne
apne bhai ke hathon piya
jo shumali mujahid tha
aur panj-waqta namazi bhi tha
masala is shahadat ka pechida hai
is ko behtar yahi hai yahin chhoD den
ab bahar-haal baba to jannat mein hai
us ke hathon mein jam-e-tuhur
us ki banhon mein hur o qusur
meri taqdir mein bam-dhamake dhuan
pighalti hui ye zamin
bikharta hua aasman
baad-az-marg wo zinda hai
zindagi mujh se sharminda hai
2
kal sar-e-sham dushman ne aate hue
bam ke hamrah barsa diye
mujh pe kuchh pile thaile
jin se mujh ko mile
gol roTi ke TukDe
ek makkhan ki Tikiya
ek sharbat ki botal
murabbe ka Dabba
is ke badle mein wo le gae
mere bhai ka dast-e-mashaqqat
jis mein minnat ka Dora bandha tha
meri chhoTi bahan ka wo panw
jis se rang-e-hina phuTta tha
log kahte hain ye amn ki jang hai
amn ki jang mein hamla-awar
sirf bachchon ko be-dast-o-pa chhoDte hain
un ko bhuka nahin chhoDte
aaKHir insaniyat bhi koi chiz hai
main dahakte pahaDon mein tanha
apne tarke ki banduq thame khaDa hun
tamasha-e-ahl-e-karam dekhta tha
tamasha-e-ahl-e-karam dekhta hun
(1456) Peoples Rate This