Naya Ghar
kahin dur basti ki aaghosh mein
wo humakta hua ek naya ghar
apne atraf se be-KHabar
nanhe bachche ke manind hansta hua
ek nae-pan ki KHushbu mein basta hua
hamesha mujhe aur tum ko bulata rahega
apni muTThi ke ghunghru bajata rahega
wo naya ghar jo mera tumhaara nahin tha
kisi taur se bhi hamara nahin tha
kucha kucha bhaTakte hue jis ke dar par
thake-haare hum tum shikasta-dil o KHak-basar
tan pe bar-e-nadamat uThae hue ruk gae the
us ke diwar-o-dar farsh o aangan
hamein dekh kar kis tarah jhuk gae the
us ke phaile hue bazuon ne
hamein is tarah se samoya
aur aisi jagah di
ki chehron ki miTTi rifaqat ki afshan bani
aur nadamat ki zardi na jaane kahan miT gai
mujh ko aisa laga jaise anmol moti
tah-e-ab se mauj-dar-mauj laDta hua
KHud kinare tak aae
apna KHakistari KHol suraj ki tahwil mein de ke
sari thakan bhul jae
phir shua-e-mohabbat se sara jahan jagmagae
mere dal ne dua di KHudawand-e-bartar
isi raushni mein nahata rahe ye naya ghar
apni muTThi ke ghunghru bajata rahe ye naya ghar
hamari tarah dusre dil-zadon ko bulata rahe ye naya ghar
(1225) Peoples Rate This