Insaf
main is chhoTe se kamre mein
aazad bhi hun aur qaid bhi hun
is kamre mein ek khiDki hai
jo chhat ke barabar unchi hai
jab suraj Dubne lagta hai
kamre ki chhat se guzarta hai
muTThi bhar kirnon ke zarre
khiDki se andar aate hain
main is raste par chalti hun
aur apne ghar ho aati hun
mera bap abhi tak mere liye
jab shahr se wapas aata hai
chadar kanghi kajal chuDi
jaane kya kya le aata hai
mere donon bhai ab bhi
masjid mein paDhne jate hain
ahkaam-e-KHudawandi sare
paDhte hain aur dohraate hain
aapa mere hisse ki roTi
changir mein Dhak kar rakhti hai
aur subh sawere uTh kar wo
roTi chiDiyon ko deti hai
man meri kuchh pagal si hai
ya patthar chunti rahti hai
ya dana chugti chiDiyon se
kuchh baaten karti rahti hai
wo kahti hai jab ye chiDiyan
sab is ki baat samajh lengi
chonchon mein patthar bhar lengi
panjon mein sang samo lengi
phir wo tufan aa jaega
jis se har mimbar har munsif
para-para ho jaega
mera insaf karega wo
jo sab ka hakim-e-ala hai
sab jis ki nazar mein yaksan hain
jo munsif izzat wala hai
main man ko kaise samjhaun
kya main koi KHana-kaba hun
(1268) Peoples Rate This