Ek Tilismi Khel
kaise kaise nam likhe the
waqt ne mah-o-sal ke ruKH par
tufanon ne pala mara
sare ho gae tittar-bittar
saiqal kar ke rakhna chaha
hum ne kuchh namon ko bacha kar
umr ki maujen baha le gain
sare lal aur sare jawahir
tarz-e-KHiram ke phul khile the
aati jati rahguzar par
aaj hai sirf ghubar ka parda
kaisi manzil kaisa manzar
dhajji dhajji bikhar rahi hai
tani hui ehsas ki chadar
kuchh harfon ki maddham si lau
kanp rahi hai laraz laraz kar
KHushbu apni kho baiTha hai
sab sheron ka mushk aur ambar
surat apni badal chuke hain
ahd aqide masjid mimbar
kaise KHali hath khaDe hain
shah wazir amir gadagar
ujDi KHwab-o-KHayal ki duniya
apne gharon mein sab hain be-ghar
kyun-kar joDen apne TukDe
haar gae hain sare rafugar
KHuni baadal gahre gahre
chhaTe nahin hain baras baras kar
aur zaminen aankhen munde
mast hui hain lahu pi pi kar
ek tilismi khel racha hai
jaane kaun hai ye jadugar
(1198) Peoples Rate This