Ek Phul Sa Bachcha
ek din thaka-manda
ek sham be-mani
ek raat hairan si
mere sath ye tinon
mere ghar mein rahte hain
ek dusre se kam
apne aap se hum log
baat karte rahte hain
uljhe suljhe lamhon ki
waqt chadaren bun kar
hum ko Dhanp deta hai
dekhta nahin muD kar
jald jald kaTta hai
hum jo dekhna chahen
wo nazar churaata hai
ek phul sa bachcha
be-KHabar niDar sachcha
mere ghar ke kamron mein
aa ke ghul machata hai
munjamid KHamoshi ko
toDti hansi us ki
is tarah bikharti hai
jaise Thahre pani mein
koi kankari phenke
aks jhum jhum uTThe
mauj mauj lahrae
ek din thaka-manda
jag jag jata hai
ek sham be-mani
harf harf sajti hai
ek raat hairan si
aankh mund leti hai
(1119) Peoples Rate This