Billi
dabe panw chalti chali aaegi
kisi garm kone mein chupke se baiThegi
bilauri aankhen ghumati rahegi
kabhi ek halki jamahi bhi legi
dekhte dekhte jism se uThne wali mahak
sare kamre mein bhar jaegi
dayar-e-ghariban se aaya hua ek udheD umr chuha
jo bas rizq ki bu ko pahchanta hai
jo har waqt bimar har waqt bezar chuhiya se tang aa chuka hai
use dekh lega to ji jaega
shauq-e-waraftagi tarz-e-amadgi
us ko billi ke nazdik le jaega
lamha-e-qurb mein
saat-e-wasl mein
us hasina ke naKHun nikal aaenge
us udheD umr chuhe se shoKHi karenge
use hanpta-kanpta adh-mua chhoD kar
phir se malbus-e-maKHmal mein chhup jaenge
(1009) Peoples Rate This