Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc76a46b76b8248c3d35e6dcb994c354, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Alif Aur Be Ke Nam - Zehra Nigaah Poetry In English - Darsaal

Alif Aur Be Ke Nam

jaanan! kya ye ho sakta hai

aaj ki sham kahin nahin jaen

shor machane wale fite

aawazon se bhare tawe

sab thoDi der ko chup ho jaen

jaanan! kya ye ho sakta hai

is pyari mashrub ke paimane bhi na chhalken

jin ke bal-bute pe hamari KHush-aKHlaqi

aam hui hai

aur na mauzuat ke lawe munh se ublen

aise log ki jin ke chehre bahut baDe aur dil chhoTe hain

aaj hamein surat na dikhaen

thoDi der ko tanhai ki halki KHunki basi rahe

log gharon mein aur botal almari hi mein saji rahe

hum donon us kamre mein hon

jis ki diwaron pe hamare sukh ke bandhan

taswiron ki shakl mein aawezan rahte hain

jis mein rakkhe kaTh ke ghoDe

koT ke hathi

sab hum ko takte rahte hain

jis mein baiThi kanch ki chiDiyan

hum ko dekh ke Dar si gai hain

jis mein rakkhi kai kitaben

hum se ruTh ke mar si gai hain

hum donon tanha hon

thoDi der ko gum-sum se baiThen

phir rafta rafta baat-chit ke

chhoTe chhoTe phul khilen

qurbat ki garmi se pashemani ke aansu

diye ki tarah se jal uTThen

jaanan kya ye ho sakta hai

ab bhi mera dil kahta hai

shayad aisa ho sakta hai

(1259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Alif Aur Be Ke Nam In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Alif Aur Be Ke Nam is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Alif Aur Be Ke Nam for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Alif Aur Be Ke Nam in PDF.