Lab Par KHamoshiyon Ko Sajae Nazar Churae
lab par KHamoshiyon ko sajae nazar churae
jo ahl-e-dil mein baiThe hain chup-chap sar jhukae
kah do koi saba se idhar aaj-kal na aae
kaliyan kahin mahak na uThen phul khil na jae
ab dosti wo fan ki jo sikhe wahi nibhae
aur hai wafa tamasha jise aae wo dikhae
kuchh kahna jurm hai to KHata-war main bhi hun
ye aur baat mera kaha wo samajh na pae
(1287) Peoples Rate This