Koi Hangama Sar-e-bazm UThaya Jae
koi hangama sar-e-bazm uThaya jae
kuchh kiya jae charaghon ko bujhaya jae
bhulna KHud ko to aasan hai bhula baiTha hun
wo sitamgar jo na bhule se bhulaya jae
jis ke bais hain ye chehre ki lakiren maghmum
ghair-mumkin hai ki manzar wo dikhaya jae
sham KHamosh hai aur chand nikal aaya hai
kyun na ek naqsh hi pani pe banaya jae
zaKHm hanste hain to ye fasl-e-bahaar aati hai
han isi baat pe phir zaKHm lagaya jae
(1184) Peoples Rate This