Ek Tera Gham Jis Ko Rah-e-motabar Jaanen
ek tera gham jis ko rah-e-mo'tabar jaanen
is safar mein hum kis ko apna ham-safar jaanen
jis se kuchh na kah paen jaan-e-guftugu Thahre
jis se kam milen us ko sab se beshtar jaanen
apna aks bhi aksar sath chhoD jata hai
ye maal-e-KHud-bini kash shishagar jaanen
tar-tar kar Dalen sabr-o-zabt ka daman
zaKHm zaKHm dikhla den zarf-e-chaara-gar jaanen
(1066) Peoples Rate This