Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd3744ae53ae25698203dadcf870a3b5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki - Zehra Nigaah Poetry In English - Darsaal

Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki

ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki

dast-e-talab kuchh aur baDhate haf-iqlim bhi mil jate

hum ne to kuchh TuTe-phuTe jumlon hi pe qanaat ki

shohrat ke gahre dariya mein Dube to phir ubhre nahin

jin logon ko apna samjha jin logon se mohabbat ki

ek doraha aisa aaya donon TuT ke gir jate

bachchon ke hathon ne sambhaala buDhon hi ne hifazat ki

jama-e-ulfat bunte aae rishton ke dhagon se hum

umr ki qainchi kaT gai ab kahe ko itni mehnat ki

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Ek Ke Ghar Ki KHidmat Ki Aur Ek Ke Dil Se Mohabbat Ki in PDF.