Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_109a066ec244d18a8a25cad8297d2716, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain - Zehra Nigaah Poetry In English - Darsaal

Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain

basti mein kuchh log nirale ab bhi hain

dekho KHali daman wale ab bhi hain

dekho wo bhi hain jo sab kah sakte the

dekho un ke munh par tale ab bhi hain

dekho un aankhon ko jinhon ne sab dekha

dekho un par KHauf ke jale ab bhi hain

dekho ab bhi jins-e-wafa nayab nahin

apni jaan pe khelne wale ab bhi hain

tare mand hue par zarre raushan hain

miTTi mein aabaad ujale ab bhi hain

(1440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain In English By Famous Poet Zehra Nigaah. Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain is written by Zehra Nigaah. Read famous Poem Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain for youth and Student by Zehra Nigaah. Free Download Basti Mein Kuchh Log Nirale Ab Bhi Hain in PDF.