Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3bb502f75f23b671701ad8b8c505501b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin - Zehra Alvi Poetry In English - Darsaal

Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin

hansti muskuraati hai

na ab khilkhilati hai

wo ghar se bahar jate hue

Dar Dar si jati hai

KHud ko pardon mein chhupati hai

wo bolti kuchh bhi nahin

suna hai

kisi aali gharane ke

kisi achchhe ohde ke

laDke ne

use masal Dala tha

insaf ki adalat mein

kuchh noTon ke badle mein

insaf kuchal Dala tha

us ke majbur baba ne

baqi beTiyon ki KHatir

mujrim muaf kar diya tha

tab hi se

wo bolti kuchh bhi nahin

bas aansu bahati hai

(1006) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Zehra Alvi. Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin is written by Zehra Alvi. Read famous Poem Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Zehra Alvi. Free Download Wo Bolti Kuchh Bhi Nahin in PDF.