Suno
main hasin hun hai malum mujhe
main sajti sanwarti bhi rahti hun
magar main is jism se aage ek ruh bhi to hun
main narm honTon se jo lafz bunti hun
kabhi un mein bhi kho ke dekh
mere jism se aage mere hone mein jo lazzat hai
use aashkar kar ke dekh
main faqat tere lams ko banai maKHluq nahin hun
main teri dil-lagi nahin
main tera asasa hun
main tera nisf teri ruh ka aahan hun
main tere takammul ki la-zawal pahchan hun
tu pahchan mujhe main bhi insan hun
main faqat hawas nahin
teri lazzat-e-ashnai nahin
tu ki abhi mujh se aashna hi nahin
main to tere hone ka saman hun
main teri hi hasti ka jalwa-numa hun
main izhaar karun KHud ka
tu dekh KHud ko zara
tu zuhur hai meri qudrat ka
tujh se ki numud meri hi kokh ki KHilqat hai
karega pamal mujh ko
to rahega KHak tu bhi
main alag tujh se nahin hun
main teri hi pasli ka KHamsa hun
(1110) Peoples Rate This