KHud-kalami KHatun-e-KHana Ki
kuchh KHas nahin hai
wahi roz-o-shab hain
har din naya din hai
aur din guzar jaana hai
oh bachche school se aane wale hain
aur bachchon ke liye lunch bhi banana hai
subh nashte mein main ghanchakkar bani hoti hun
Time ki kami nashta adhura chhoD jaane ka achchha bahana hai
are yaad hi na raha sas ki dawa KHatm hone wali hai
aur kitchen ka kuchh saman bhi lana hai
baba bimar hain kai dinon se ammi ki taraf jaana hai
kapDe dhone hain abhi shirt ka baTan Tankna hai
kitna achchha mausam hai baadalon ke sang gungunane ka
magar dawat hai kal aur raat ka khana banana hai
wo kah gae hain ghar bikhra paDa hai
dusting kyun nahin karti achchhe se mehmanon ne kal aana hai
kabab bana kar rakhe hain abhi freeze mein
ab bachchon ko paDhana hai
cousin haspatal mein admit hai us ki ayaadat ko jaana hai
phul kitne murjha gae hain unhen pani lagana hai
thak kar chur ho gai hun magar un ke liye
achchhe se tayyar hona hai
wo kahte hain pahle kitni achchhi lagti thin aur ab
waqt ki kami bas KHayal na rakhne ka bahana hai
adhuri jins
kai sadiyon se ghurur aadamiyat aur haya niswaniyat ke darmiyan
pis raha hun ya rahi hun
main adhuri jins hun magar mukammal insan hun
mere honTon par lali aur ThoDi par daDhi hai
jism ke nasheb-o-faraaz
samar se aari hain
aadhi jins meri KHandan par gali hai
mera mustaqbil kya faqat
shadi ya dawat mein kisi behuda gane par thirakna hai
kisi andhere badbu-dar kamre ka kona hai
kisi ayyash ki tanhai
ya guru ki mar sahna hai
kya ye mumkin hai
mujhe sharaf-e-insaniyat mein hissa mile
zamin-o-asman ki niyabat ka wirsa mile
kya ye mumkin hai
mere aadhe adhure jism par izzat ka saeban ho jae
mere dard ka darman ho jae
kya ye mumkin hai
ki main bhi to
adhuri jins ka mukammal insan hun
(1629) Peoples Rate This