Zaitun Ka DaraKHt
mere pas
koi bagh nahin hai dost
kuchh adhure KHwab ek balcony
aur do tin gamle hain
jo mujhe duniya mein daraKHton ke
baqi rahne ki wajuhat batate hain
aur jangalon ko jala diye jaane ki KHabren pahunchate hain
meri bahan mere kamzor pairon mein
zaitun ke tel se jaan Dalne ki koshish karti hai
man hoti to wo bhi yahi karti
kash sari duniya mein
zaitun ke tel ke kuen hon
aur kamzor pairon mein jaan paD jae
aur hum apne pyaron ke sath
mohabbat ke bagh mein roz chahal-qadmi kar saken
ek daraKHt tumhaare nam ka bhi hoga
mere dost
taki hum hamesha mohabbat aur shifa-yabi ke moajaze mein
ek dusre ke sharik rahen
(1107) Peoples Rate This