Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_40ebadff37466edac1853861b3bddaa2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aansu Nahin - Zeeshan Sahil Poetry In English - Darsaal

Ye Aansu Nahin

ye aansu nahin koi aur chiz hai

jo tumhaari aankhon se bah rahi hai

ye namak nahin kisi aur shai ka zaiqa hai

jise zaban mahsus kar rahi hai

ye chiz nahin koi aur aawaz hai

jo band khiDki se Takra rahi hai

jo muqaffal darwaze par dastak de rahi hai

ye hawa hai

jo tumhein apne sath le jaegi

aur pani hai

jo sab kuchh baha ke le jata hai

ye KHwab hai

jo hamesha nazar aata hai

aur mohabbat hai

jo sab kuchh tabah nahin hone deti

(1185) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aansu Nahin In English By Famous Poet Zeeshan Sahil. Ye Aansu Nahin is written by Zeeshan Sahil. Read famous Poem Ye Aansu Nahin for youth and Student by Zeeshan Sahil. Free Download Ye Aansu Nahin in PDF.