Shahri Sahulaten
hamare shahr main
jitna KHun bahta hai
us se kuchh ziyaada pani
thoDi der ke liye
hamare gharon mein faraham kiya jata hai
jitni bar hum
operator ki madad se
kisi paDosi ya dost ke liye
hangami imdad talab karte hain
us se bahut ziyaada ka bill
har mahine hamein mausul hota hai
jitni der
la-waris lashen aur zaKHmi
murda-KHane aspatal ya saDak par
embulance ka intizar karte hain
us se kuchh ziyaada der
hum apne bachne ki duaen mangte hain
jitne din insani jism
jhaDiyon ya mein-hole mein chhupe rahte hain
un se kuchh ziyaada din
hum KHauf ke aalam mein
apni diwar ke pichhe
khiDkiyan darwaze band karte hue
guzarte hain
hamari KHamoshi ya hamare chillane par
bachchon ki tarah
hamein bahlaya jata hai
pas-mandagan ki tarah
hamein marne walon ka
muawza diya jata hai
sogwaron ki tarah
hamein dilasa diya jata hai
doston ki tarah hamesha
hamein apne qarib rakha jata hai
dushmanon ki tarah
ek ek kar ke
KHatm kiya jata hai
marne walon ki tarah
jannat mein jagah milne ki dua ke sath
dusri lashon ke ham-rah
upar-tale dafn kiya jata hai
(1269) Peoples Rate This