Shaer Aur MasKHare
hamare yahan aam taur par
har mauqe par
shaer aur masKHare
ek jaisi kursiyon par baiThte hain
aur kursiyon tak aane ke liye
ek hi raste se guzarte hain
aur is raste se pahle
ek hi zine upar chaDhte hain
shaer aur masKHare sath sath chalte hain
chalte chalte masKHara zor zor se hansta hai
shaer rota hai aur hum
donon ki aawazen sath sath sunte hain
aur bhul jate hain dhyan hi nahin dete
is baat par ki in mein se
shaer ki aawaz kaun si hai aur masKHare ki kaun si
aur is baat par ki hamein
masKHare ki hansi par tawajjoh deni chahiye
ya shaer ke aansuon par
aur is baat par ki hamein
shairon masKHaron aur kursiyon mein
koi farq mahsus nahin hota
(1217) Peoples Rate This