Sayyah
use safar name
aur sayyahon ki zindagi ki kahaniyan bahut pasand thin
us ne muKHtalif mulkon
aur wahan ke logon ke bare mein bahut kuchh malum kya tha
wo kai zabanen
aur safar karne ke tamam tariqe jaanta tha
aur wo ye bhi jaanta tha
ki jab koi shaKHs kahin na ja sake
to use kya karna chahiye
wo KHwab dekhta tha
aur har raat KHud ko kisi nai sar-zamin pe pata
wo KHwab dekhta tha
jo inhen chizon ke bare mein hote
log us ke KHwab dilchaspi se sunte the
phir ek raat us ne dekha
ki wo rasta bhul gaya hai
aur us ne KHud ko kabhi garm ret
aur kabhi dur tak phaili barf mein dhansa hua paya
agli subh us ne kisi se kuchh nahin kaha
aur un riyasaton ki taraf nikal gaya
jin par kahin na jaane wale log chale hi jate hain
nae ya purane naqshon mein
aise bahut se raste dikhae jate hain
jo kahin nahin jate
(1075) Peoples Rate This